tamam shahr mein yakta ye meri zat na kar
tamām shahr meñ yaktā ye merī zaat na kar
ki Dhaltī umr hai ab itnā iltifāt na kar
ye qurbateñ bhī mayassar huiiñ nasīboñ se
ta'alluqāt meñ ab aur tajrabāt na kar
ye aur baat ki maiñ qadr-āshnā huuñ magar
nisār jism ke mujh pe javāharāt na kar
tire hī husn pe ik nazm likh rahā huuñ abhī
tirī hī soch meñ huuñ aaj mujh se baat na kar
mujhe ḳhabar hai koī tere intizār meñ hai
bas apne ghar ko chalī jā tū itnī raat na kar
tamam shahr mein yakta ye meri zat na kar
ki Dhalti umr hai ab itna iltifat na kar
ye qurbaten bhi mayassar huin nasibon se
ta'alluqat mein ab aur tajrabaat na kar
ye aur baat ki main qadr-ashna hun magar
nisar jism ke mujh pe jawaharaat na kar
tere hi husn pe ek nazm likh raha hun abhi
teri hi soch mein hun aaj mujh se baat na kar
mujhe KHabar hai koi tere intizar mein hai
bas apne ghar ko chali ja tu itni raat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.