tamam shahr tha jangal sa inT patthar ka
tamām shahr thā jañgal sā iiñT patthar kā
ġhazab vo dekh ke aayā huuñ bād-e-sarsar kā
sadā.eñ chashme ubalne kī aa rahī haiñ mujhe
kisī ne toḌ diyā kyā sukūt patthar kā
milā hai ḳhāk-nashīnī se ye maqām mujhe
zamīñ hai taḳht falak taaj hai mire sar kā
mujhe to koī bhī mausam uḌā nahīñ saktā
ki maiñ to rañg huuñ us ke adhūre manzar kā
ravāñ kiyā hai mujhe kin bulandiyoñ kī taraf
ki āsmān bhī lagtā hai saaya shah-par kā
maiñ apnā ghar to jalā ke safar pe niklā thā
ḳhayāl dasht meñ aayā faqat tire dar kā
sunā.ī detī nahīñ hai ab apnī aahaT bhī
ravāñ huā hai har ik samt shor andar kā
jab āftāb sā mujh par huā thā raushan tū
mujhe hai yaad vo yaḳh-basta din december kā
havā-e-lams meñ ik aag bhī thī poshīda
ki tābnāk huā jism sañg-e-marmar kā
zahe-nasīb mohammad kā nām-levā huuñ
hai laakh shukr ḳhudā-e-buzurg-o-bartar kā
tamam shahr tha jangal sa inT patthar ka
ghazab wo dekh ke aaya hun baad-e-sarsar ka
sadaen chashme ubalne ki aa rahi hain mujhe
kisi ne toD diya kya sukut patthar ka
mila hai KHak-nashini se ye maqam mujhe
zamin hai taKHt falak taj hai mere sar ka
mujhe to koi bhi mausam uDa nahin sakta
ki main to rang hun us ke adhure manzar ka
rawan kiya hai mujhe kin bulandiyon ki taraf
ki aasman bhi lagta hai saya shah-par ka
main apna ghar to jala ke safar pe nikla tha
KHayal dasht mein aaya faqat tere dar ka
sunai deti nahin hai ab apni aahaT bhi
rawan hua hai har ek samt shor andar ka
jab aaftab sa mujh par hua tha raushan tu
mujhe hai yaad wo yaKH-basta din december ka
hawa-e-lams mein ek aag bhi thi poshida
ki tabnak hua jism sang-e-marmar ka
zahe-nasib mohammad ka nam-lewa hun
hai lakh shukr KHuda-e-buzurg-o-bartar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.