tamam shai mein wo aksar dikhai deta hai
tamām shai meñ vo aksar dikhā.ī detā hai
baḌā hasīn ye manzar dikhā.ī detā hai
ġhamoñ kī dhuup meñ jaltī huī nigāhoñ ko
sanam vafā kā samundar dikhā.ī detā hai
tumhāre haath kī in be-zabāñ lakīroñ meñ
hameñ hamārā muqaddar dikhā.ī detā hai
banā liyā hai jo shīshe kā ghar yahāñ maiñ ne
har ik nigāh meñ patthar dikhā.ī detā hai
sabhī ke haath sane haiñ lahū se rishtoñ ke
sabhī kī piiTh meñ ḳhanjar dikhā.ī detā hai
ugeñgī amn kī fasleñ kaho bhalā kaise
yahāñ to khet hī banjar dikhā.ī detā hai
tamam shai mein wo aksar dikhai deta hai
baDa hasin ye manzar dikhai deta hai
ghamon ki dhup mein jalti hui nigahon ko
sanam wafa ka samundar dikhai deta hai
tumhaare hath ki in be-zaban lakiron mein
hamein hamara muqaddar dikhai deta hai
bana liya hai jo shishe ka ghar yahan main ne
har ek nigah mein patthar dikhai deta hai
sabhi ke hath sane hain lahu se rishton ke
sabhi ki piTh mein KHanjar dikhai deta hai
ugengi amn ki faslen kaho bhala kaise
yahan to khet hi banjar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.