tamam umr guzari hai KHair maine bhi
tamām umr guzārī hai ḳhair maiñ ne bhī
kahīñ na lagne diye apne pair maiñ ne bhī
vo ek dariyā jo ḳhushkī pe chaḌh ke Duub gayā
liyā hai thoḌā bahut us meñ tair maiñ ne bhī
ḳhayāl-e-yār sarāsar tirī muravvat meñ
kiyā hai apnī hī hālat ko ġhair maiñ ne bhī
bas apne halqa-e-ahbāb kī himāyat meñ
phir apne saath kamāyā hai bair maiñ ne bhī
vo gul-badan bhī to ab baaġh meñ nahīñ aatā
isī liye to ye chhoḌī hai sair maiñ ne bhī
sajā ke rakkhā hai dil meñ baḌe qarīne se
tumhārī yaad ko yādash-ba-ḳhair maiñ ne bhī
vahī jo kaam kiyā kohkan ne teshe se
kiyā hai kaam vo teshe baġhair maiñ ne bhī
butoñ se dil kā ta'alluq hai cholī-dāman kā
haram ke saath banāyā hai dair maiñ ne bhī
tamam umr guzari hai KHair main ne bhi
kahin na lagne diye apne pair main ne bhi
wo ek dariya jo KHushki pe chaDh ke Dub gaya
liya hai thoDa bahut us mein tair main ne bhi
KHayal-e-yar sarasar teri murawwat mein
kiya hai apni hi haalat ko ghair main ne bhi
bas apne halqa-e-ahbab ki himayat mein
phir apne sath kamaya hai bair main ne bhi
wo gul-badan bhi to ab bagh mein nahin aata
isi liye to ye chhoDi hai sair main ne bhi
saja ke rakkha hai dil mein baDe qarine se
tumhaari yaad ko yaadash-ba-KHair main ne bhi
wahi jo kaam kiya kohkan ne teshe se
kiya hai kaam wo teshe baghair main ne bhi
buton se dil ka ta'alluq hai choli-daman ka
haram ke sath banaya hai dair main ne bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.