tamam umr ho na pai wo nazar apni
tamām umr ho na paa.ī vo nazar apnī
rah-e-hayāt meñ bantī jo ham-safar apnī
hazār sañg-e-garāñ zindagī kī raah meñ the
na jaane kaise jahāñ meñ huī basar apnī
zamīñ pe zabt-e-fuġhāñ sa.ī-e-rā.egāñ Thahrā
falak pe jā ke huī aah be-asar apnī
kisī risāle meñ shaa.e ho jaise koī ġhazal
kuchh is tarah se huī baat mushtahar apnī
mujhe shikāyat-e-aġhyār se ġharaz kyoñ ho
hañsī uḌaa.ī hai yāroñ ne ḳhaas kar apnī
vo kyā kisī ko mulāqāt kā sharaf degā
jo ḳhairiyat bhī na likh paa.e do satar apnī
milā na chain tirī justujū meñ saarā din
lagī na aañkh tire ġham meñ raat bhar apnī
surāġh-e-manzil-e-irfāñ na mil sakegā kabhī
ġhalat-ravī se hazīmat hai sar-basar apnī
guloñ kā ḳhuun thā rañg-e-bahār ke pīchhe
fareb khā na sakī chashm-e-mo'atabar apnī
havā-e-shauq ke pīchhe ġhubār ban ke uḌī
bisāt bhuul ga.ī hastī-e-bashar apnī
maiñ inkishāf karūñ bhī to kis tarah se 'sabā'
tavīl raaz hai aur umr muḳhtasar apnī
tamam umr ho na pai wo nazar apni
rah-e-hayat mein banti jo ham-safar apni
hazar sang-e-garan zindagi ki rah mein the
na jaane kaise jahan mein hui basar apni
zamin pe zabt-e-fughan sai-e-raegan Thahra
falak pe ja ke hui aah be-asar apni
kisi risale mein shae ho jaise koi ghazal
kuchh is tarah se hui baat mushtahar apni
mujhe shikayat-e-aghyar se gharaz kyon ho
hansi uDai hai yaron ne KHas kar apni
wo kya kisi ko mulaqat ka sharaf dega
jo KHairiyat bhi na likh pae do satar apni
mila na chain teri justuju mein sara din
lagi na aankh tere gham mein raat bhar apni
suragh-e-manzil-e-irfan na mil sakega kabhi
ghalat-rawi se hazimat hai sar-basar apni
gulon ka KHun tha rang-e-bahaar ke pichhe
fareb kha na saki chashm-e-mo'atabar apni
hawa-e-shauq ke pichhe ghubar ban ke uDi
bisat bhul gai hasti-e-bashar apni
main inkishaf karun bhi to kis tarah se 'saba'
tawil raaz hai aur umr muKHtasar apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.