tamam umr ka dukh tha waba ke mausam mein
tamām umr kā dukh thā vabā ke mausam meñ
maiñ is liye bhī thā royā vabā ke mausam meñ
kal āsmān jo chīḳhā vabā ke mausam meñ
sabhī ne rāsta badlā vabā ke mausam meñ
sisaktī pyaas zamīñ-burd ho ga.ī aise
ki dariyā ro paḌā saarā vabā ke mausam meñ
tumhārī aañkh kī afsurdagī se TuuT gayā
jo ek sapnā banā thā vabā ke mausam meñ
mirī ḳhatāoñ ko mālik mirā muaaf kare
duā ko haath uThāyā vabā ke mausam meñ
na imtihān pe ab imtihān le maulā
ki sajda-rez hai duniyā vabā ke mausam meñ
ujālā nuur kā phailā hai āsmānoñ par
zamīñ kā rang bhī badlā vabā ke mausam meñ
shajar ne oḌh liyā hai ġhilāf-e-barg-e-nau
ki barg-e-ḳhushk hai tanhā vabā ke mausam meñ
maiñ ḳhālī haath tirī bārgah meñ aa pahuñchā
karam ho mujh pe ḳhudāyā vabā ke mausam meñ
mirī navā meñ tū mat DhūñD muflisī kā aks
hisāb sab kā hai apnā vabā ke mausam meñ
hamāre milne pe qadġhan lagī thī varna maiñ
mohabbatoñ ko bhī paatā vabā ke mausam meñ
bas āsmān-o-zamīñ par ḳhudā kā charchā hai
har ik taraf use dekhā vabā ke mausam meñ
usī ko oḌh ke baiThā huuñ apne hujre meñ
yahī qabā-e-darīda vabā ke mausam meñ
zamīñ pe bojh thā 'tāhir' mire gunāhoñ kā
maiñ apnā dard na likhtā vabā ke mausam meñ
tamam umr ka dukh tha waba ke mausam mein
main is liye bhi tha roya waba ke mausam mein
kal aasman jo chiKHa waba ke mausam mein
sabhi ne rasta badla waba ke mausam mein
sisakti pyas zamin-burd ho gai aise
ki dariya ro paDa sara waba ke mausam mein
tumhaari aankh ki afsurdagi se TuT gaya
jo ek sapna bana tha waba ke mausam mein
meri KHataon ko malik mera muaf kare
dua ko hath uThaya waba ke mausam mein
na imtihan pe ab imtihan le maula
ki sajda-rez hai duniya waba ke mausam mein
ujala nur ka phaila hai aasmanon par
zamin ka rang bhi badla waba ke mausam mein
shajar ne oDh liya hai ghilaf-e-barg-e-nau
ki barg-e-KHushk hai tanha waba ke mausam mein
main KHali hath teri bargah mein aa pahuncha
karam ho mujh pe KHudaya waba ke mausam mein
meri nawa mein tu mat DhunD muflisi ka aks
hisab sab ka hai apna waba ke mausam mein
hamare milne pe qadghan lagi thi warna main
mohabbaton ko bhi pata waba ke mausam mein
bas aasman-o-zamin par KHuda ka charcha hai
har ek taraf use dekha waba ke mausam mein
usi ko oDh ke baiTha hun apne hujre mein
yahi qaba-e-darida waba ke mausam mein
zamin pe bojh tha 'tahir' mere gunahon ka
main apna dard na likhta waba ke mausam mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.