tamam umr kisi ka sahaara mil na saka
tamām umr kisī kā sahārā mil na sakā
maiñ aisā dariyā thā jis ko kinārā mil na sakā
tabāhiyoñ ke manāzir har aañkh raushan the
mohabbatoñ kā kahīñ isti.ārā mil na sakā
tamām ziist rahī nazr-e-ābla-pā.ī
safar ke ḳhatm kā ham ko ishārā mil na sakā
kabhī jo sab ke liye bā.is-e-mohabbat thā
mujhe vajūd vo aisā dobārā mil na sakā
khulī rahī haiñ hamesha safar meñ āñkheñ mirī
nigāh-e-shauq ko rangīñ nazārā mil na sakā
mirī hayāt meñ thī jis ke lams kī garmī
mire nafas ko phir aisā sharārā mil na sakā
fazā-e-shahr pe har samt thā dhuāñ 'naqvī'
kahīñ pe koī bhī raushan sitārā mil na sakā
tamam umr kisi ka sahaara mil na saka
main aisa dariya tha jis ko kinara mil na saka
tabahiyon ke manazir har aankh raushan the
mohabbaton ka kahin istiara mil na saka
tamam zist rahi nazr-e-abla-pai
safar ke KHatm ka hum ko ishaara mil na saka
kabhi jo sab ke liye bais-e-mohabbat tha
mujhe wajud wo aisa dobara mil na saka
khuli rahi hain hamesha safar mein aankhen meri
nigah-e-shauq ko rangin nazara mil na saka
meri hayat mein thi jis ke lams ki garmi
mere nafas ko phir aisa sharara mil na saka
faza-e-shahr pe har samt tha dhuan 'naqwi'
kahin pe koi bhi raushan sitara mil na saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.