tamam umr kiya humne intizar-e-sahar
tamām umr kiyā ham ne intizār-e-sahar
sahar huī bhī to aayā na e'tibār-e-sahar
bhaTak rahā hai kahāñ kārvān-e-dīda-o-dil
na ye dayār-e-shab-e-ġham na ye diyār-e-sahar
sambhal sambhal ke chale kārvān-e-lāla-o-gul
ye rahguzār-e-sahar hai ye rahguzār-e-sahar
kisī ke husn-e-tabassum kī ik karan chhū kar
guloñ ko baḳhsh diyā ham ne iḳhtiyār-e-sahar
tirā ḳhayāl na aa.e tirā ḳhayāl aa.e
yahī ḳhizāñ hai sahar kī yahī bahār-e-sahar
abhī to phuul khile haiñ zarā mahakne do
abhī se kaise utar jā.egā ḳhumār-e-sahar
shab-e-firāq kā har lamha hai hasīñ 'nashtar'
na aañkh meñ koī aañsū na intizār-e-sahar
tamam umr kiya hum ne intizar-e-sahar
sahar hui bhi to aaya na e'tibar-e-sahar
bhaTak raha hai kahan karwan-e-dida-o-dil
na ye dayar-e-shab-e-gham na ye diyar-e-sahar
sambhal sambhal ke chale karwan-e-lala-o-gul
ye rahguzar-e-sahar hai ye rahguzar-e-sahar
kisi ke husn-e-tabassum ki ek karan chhu kar
gulon ko baKHsh diya hum ne iKHtiyar-e-sahar
tera KHayal na aae tera KHayal aae
yahi KHizan hai sahar ki yahi bahaar-e-sahar
abhi to phul khile hain zara mahakne do
abhi se kaise utar jaega KHumar-e-sahar
shab-e-firaq ka har lamha hai hasin 'nashtar'
na aankh mein koi aansu na intizar-e-sahar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.