tamam umr mukammal hayat ho na saki
tamām umr mukammal hayāt ho na sakī
vo dil ke paas rahe aur baat ho na sakī
jalā.e jaate rahe ham charāġh ulfat ke
ye aur baat ki pur-nūr raat ho na sakī
har ek lamha tirī justujū rahī dil ko
zahe-nasīb alam se najāt ho na sakī
jise pukārā ho dil ne jahāñ jhukī ho jabīñ
sivā.e tere koī aur zaat ho na sakī
jalā hai jab se nasheman mirā gulistāñ meñ
chaman meñ koī na.ī vārdāt ho na sakī
barā.e naam huuñ 'mashkūr' maiñ zamāne meñ
hayāt merī abhī tak hayāt ho na sakī
tamam umr mukammal hayat ho na saki
wo dil ke pas rahe aur baat ho na saki
jalae jate rahe hum charagh ulfat ke
ye aur baat ki pur-nur raat ho na saki
har ek lamha teri justuju rahi dil ko
zahe-nasib alam se najat ho na saki
jise pukara ho dil ne jahan jhuki ho jabin
siwae tere koi aur zat ho na saki
jala hai jab se nasheman mera gulistan mein
chaman mein koi nai wardat ho na saki
barae nam hun 'mashkur' main zamane mein
hayat meri abhi tak hayat ho na saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.