tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum
tamām umr namak-ḳhvār the zamīñ ke ham
vafā sarisht meñ thī ho rahe yahīñ ke ham
nikal ke ruuh DañvāDol ho na jaa.e kahīñ
hazār haif na duniyā ke haiñ na diiñ ke ham
nazar uThā ke na dekhā kisī taraf tā-umr
rahe ḳhayāl meñ ik chashm-e-surma-gīñ ke ham
zamīñ chhuḌā.ī ga.ī ham se jab banā kar ḳhaak
yahāñ pe kyā na rahe ai sabā kahīñ ke ham
yahāñ makāñ hai to kyuuñ āsmāñ kī sair kareñ
makīñ haiñ 'shād' azal se isī zamīñ ke ham
zamāna 'shād' hameñ kyuuñ bhulā nahīñ detā
na hajū ke na sazā-vār āfrīñ ke ham
tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum
wafa sarisht mein thi ho rahe yahin ke hum
nikal ke ruh DanwaDol ho na jae kahin
hazar haif na duniya ke hain na din ke hum
nazar uTha ke na dekha kisi taraf ta-umr
rahe KHayal mein ek chashm-e-surma-gin ke hum
zamin chhuDai gai hum se jab bana kar KHak
yahan pe kya na rahe ai saba kahin ke hum
yahan makan hai to kyun aasman ki sair karen
makin hain 'shad' azal se isi zamin ke hum
zamana 'shad' hamein kyun bhula nahin deta
na haju ke na saza-war aafrin ke hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.