tamam wahshaten meri baDha ke chhoD gaya
tamām vahshateñ merī baḌhā ke chhoḌ gayā
vo mujh ko sahrā meñ dariyā dikhā ke chhoḌ gayā
havā bhī parda hilā.e to ho gumāñ us kā
vo jaate jaate yuuñ parda hilā ke chhoḌ gayā
koī batā.e ki kaise guzārā ho apnā
hameñ jahāñ meñ vo achchhā banā ke chhoḌ gayā
vafā-parast kahūñ yā ki bevafā us ko
ajiib shaḳhs thā va.ada nibhā ke chhoḌ gayā
kal ek ḳhvāb jo aayā thā merī āñkhoñ meñ
tumhāre shahr kā naqsha banā ke chhoḌ gayā
tamam wahshaten meri baDha ke chhoD gaya
wo mujh ko sahra mein dariya dikha ke chhoD gaya
hawa bhi parda hilae to ho guman us ka
wo jate jate yun parda hila ke chhoD gaya
koi batae ki kaise guzara ho apna
hamein jahan mein wo achchha bana ke chhoD gaya
wafa-parast kahun ya ki bewafa us ko
ajib shaKHs tha wada nibha ke chhoD gaya
kal ek KHwab jo aaya tha meri aankhon mein
tumhaare shahr ka naqsha bana ke chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.