tamam waqt tumhin se kalam karte hain
tamām vaqt tumhīñ se kalām karte haiñ
shab-e-firāq kā yuuñ ehtimām karte haiñ
sajā.e rakhte haiñ har vaqt ham na.e din-rāt
tumhāre vāste ye iltizām karte haiñ
ḳhayāl-e-yār se karte haiñ sub.h kā āġhāz
umīd-e-yār ke saa.e meñ shaam karte haiñ
kahāñ miTe haiñ kisī se nuqūsh-e-ahl-e-shauq
jo nā-samajh haiñ vo ye sa.ī-e-ḳhām karte haiñ
chhupā ke rakkhe haiñ saaqī ne sāġhar-o-mīnā
isī sabab to fuġhāñ tishna-kām karte haiñ
ye be-sabab to nahīñ itne shohra-e-āfāq
tumhāre naam se ham apnā naam karte haiñ
ġham-e-hayāt se ādāb-e-zindagī sīkhe
ġham-e-hayāt kā ham ehtirām karte haiñ
tamam waqt tumhin se kalam karte hain
shab-e-firaq ka yun ehtimam karte hain
sajae rakhte hain har waqt hum nae din-raat
tumhaare waste ye iltizam karte hain
KHayal-e-yar se karte hain subh ka aaghaz
umid-e-yar ke sae mein sham karte hain
kahan miTe hain kisi se nuqush-e-ahl-e-shauq
jo na-samajh hain wo ye sai-e-KHam karte hain
chhupa ke rakkhe hain saqi ne saghar-o-mina
isi sabab to fughan tishna-kaam karte hain
ye be-sabab to nahin itne shohra-e-afaq
tumhaare nam se hum apna nam karte hain
gham-e-hayat se aadab-e-zindagi sikhe
gham-e-hayat ka hum ehtiram karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.