tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte
tamāsha ahl-e-mohabbat ye chār-sū karte
dil-o-dimāġh aur āñkheñ lahū lahū karte
vo raushnī se bharī jhiil ke kināre par
shikasta-rūh, darīda-badan rafū karte
hamāre baare meñ taftīsh karnā chāhte the
to jān-e-jān parindoñ se guftugū karte
jamāl-o-husn se labrez jab zamāna hai
tirī bisāt hī kyā terī aarzū karte
zamīñ pe chāñd sitāre bichhā ke ai 'hāshim'
falak pe phuul sajāne kī aarzū karte
tamasha ahl-e-mohabbat ye chaar-su karte
dil-o-dimagh aur aankhen lahu lahu karte
wo raushni se bhari jhil ke kinare par
shikasta-ruh, darida-badan rafu karte
hamare bare mein taftish karna chahte the
to jaan-e-jaan parindon se guftugu karte
jamal-o-husn se labrez jab zamana hai
teri bisat hi kya teri aarzu karte
zamin pe chand sitare bichha ke ai 'hashim'
falak pe phul sajaane ki aarzu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.