Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae

Jahangeer nayab

tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae

Jahangeer nayab

MORE BYJahangeer nayab

    tamāsha apnā sar-e-rah-guzar banāyā jaa.e

    jo rāhzan hai use rāhbar banāyā jaa.e

    salīqa ye bhī to hai sar uThā ke jiine

    jo ham meñ aib haiñ in ko hunar banāyā jaa.e

    tamām umr isī kaam meñ rahe masrūf

    har ek dil meñ mohabbat dar banāyā jaa.e

    ḳhushī kyā hai hamesha fareb detī hai

    to apne ġham ko ab mo'atabar banāyā jaa.e

    jahāñ na paḌ sake saaya bhī koī nafrat

    mohabbatoñ ik aisā nagar banāyā jaa.e

    abhī nuqūsh numāyāñ nahīñ hue haiñ mire

    tarāsh kar mujhe bār-e-digar banāyā jaa.e

    koī nahīñ abhī tayyār saath chalne ko

    so apne saa.e ko ham-safar banāyā jaa.e

    sab apnī zaat meñ gum haiñ ye soch kar 'nāyāb'

    parā.e dard ko kyuuñ dard-e-sar banāyā jaa.e

    tamasha apna sar-e-rah-guzar banaya jae

    jo rahzan hai use rahbar banaya jae

    saliqa ye bhi to hai sar uTha ke jine ka

    jo hum mein aib hain in ko hunar banaya jae

    tamam umr isi kaam mein rahe masruf

    har ek dil mein mohabbat ka dar banaya jae

    KHushi ka kya hai hamesha fareb deti hai

    to apne gham ko hi ab mo'atabar banaya jae

    jahan na paD sake saya bhi koi nafrat ka

    mohabbaton ka ek aisa nagar banaya jae

    abhi nuqush numayan nahin hue hain mere

    tarash kar mujhe bar-e-digar banaya jae

    koi nahin abhi tayyar sath chalne ko

    so apne sae ko hi ham-safar banaya jae

    sab apni zat mein gum hain ye soch kar 'nayab'

    parae dard ko kyun dard-e-sar banaya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now