tamasha kar rahe ho mar rahe ho
tamāsha kar rahe ho mar rahe ho
ki jitnā Dar rahe ho mar rahe ho
yūñhī chaltī rahegī zindagānī
magar tum mar rahe ho mar rahe ho
ajab sī baat hai tum ne sunā.ī
ki jab se ghar rahe ho mar rahe ho
javānī Dhal rahī hai māl-o-zar bhī
kabhī bartar rahe ho mar rahe ho
abhī miTTī meñ milnā hai jo 'māhtāb'
dar-o-be-dar rahe ho mar rahe ho
tamasha kar rahe ho mar rahe ho
ki jitna Dar rahe ho mar rahe ho
yunhi chalti rahegi zindagani
magar tum mar rahe ho mar rahe ho
ajab si baat hai tum ne sunai
ki jab se ghar rahe ho mar rahe ho
jawani Dhal rahi hai mal-o-zar bhi
kabhi bartar rahe ho mar rahe ho
abhi miTTi mein milna hai jo 'mahtab'
dar-o-be-dar rahe ho mar rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.