tamasha-e-wahm-o-yaqin aur kya hai
tamasha-e-wahm-o-yaqin aur kya hai
Syed Bashir Husain Bashir
MORE BYSyed Bashir Husain Bashir
tamāshā-e-vahm-o-yaqīñ aur kyā hai
ye hangāma-e-kufr-o-dīñ aur kyā hai
hadīs-e-mohabbat kī takmīl-e-zāhir
hamārā dam-e-vāpsīñ aur kyā hai
vahī nūr-e-akmal jo hai ġhair faanī
ziyā-e-ruḳh-e-ātishīñ aur kyā hai
mujhe duur rakh kar lubhāne kī koshish
tamāshā-e-ḳhuld-e-barīñ aur kyā hai
kisī kī tavajjoh kī zinda haqīqat
mirā e'tiqād o yaqīñ aur kyā hai
tire husn kā ek adnā sā partav
ye tanvīr-e-māh-e-mubīñ aur kyā hai
ba-juz ek naqsh-e-kaf-e-pā-e-jānāñ
mirī sajda-gāh-e-yaqīñ aur kyā hai
tirī zulf-e-mushkīñ kī ḳhushbū-e-dilkash
shamīm-e-gul-o-yāsmīñ aur kyā hai
bashīr us ke jalvoñ kī tāsīr-e-dilkash
mohabbat kā naqsh-e-hasīñ aur kyā hai
tamasha-e-wahm-o-yaqin aur kya hai
ye hangama-e-kufr-o-din aur kya hai
hadis-e-mohabbat ki takmil-e-zahir
hamara dam-e-wapsin aur kya hai
wahi nur-e-akmal jo hai ghair fani
ziya-e-ruKH-e-atishin aur kya hai
mujhe dur rakh kar lubhane ki koshish
tamasha-e-KHuld-e-barin aur kya hai
kisi ki tawajjoh ki zinda haqiqat
mera e'tiqad o yaqin aur kya hai
tere husn ka ek adna sa partaw
ye tanwir-e-mah-e-mubin aur kya hai
ba-juz ek naqsh-e-kaf-e-pa-e-jaanan
meri sajda-gah-e-yaqin aur kya hai
teri zulf-e-mushkin ki KHushbu-e-dilkash
shamim-e-gul-o-yasmin aur kya hai
bashir us ke jalwon ki tasir-e-dilkash
mohabbat ka naqsh-e-hasin aur kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.