tamasha-ha-e-sahr-e-kun-fakan hum dekh aae hain
tamāshā-hā-e-sahr-e-kun-fakāñ ham dekh aa.e haiñ
tirī shāhī ke sab rāz-e-nihāñ ham dekh aa.e haiñ
ḳhizāñ-āvāra patte kyuuñ havā meñ raqs karte haiñ
ye ham se pūchh lo sab īn-o-āñ ham dekh aa.e haiñ
tirī tasvīr meñ ye rang-e-hairat ḳhuun hai apnā
likhā kyā hai sar-e-aurāq-e-jāñ ham dekh aa.e haiñ
lagī thī aag kis ghar meñ nahīñ ma.alūm hai lekin
uThā thā aañkh se kis kī dhuāñ ham dekh aa.e haiñ
jo tere harf sun leñ vo kisī kī phir nahīñ sunte
tire lab kā vo ejāz-e-bayāñ ham dekh aa.e haiñ
tamasha-ha-e-sahr-e-kun-fakan hum dekh aae hain
teri shahi ke sab raaz-e-nihan hum dekh aae hain
KHizan-awara patte kyun hawa mein raqs karte hain
ye hum se puchh lo sab in-o-an hum dekh aae hain
teri taswir mein ye rang-e-hairat KHun hai apna
likha kya hai sar-e-auraq-e-jaan hum dekh aae hain
lagi thi aag kis ghar mein nahin malum hai lekin
uTha tha aankh se kis ki dhuan hum dekh aae hain
jo tere harf sun len wo kisi ki phir nahin sunte
tere lab ka wo ejaz-e-bayan hum dekh aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.