tamasha ho jo dil mein aks-e-ru-e-yar ho paida
tamasha ho jo dil mein aks-e-ru-e-yar ho paida
Jameela Khuda Bakhsh
MORE BYJameela Khuda Bakhsh
tamāshā ho jo dil meñ aks-e-rū-e-yār ho paidā
ki apnā ishq kā ik mahram-e-asrār ho paidā
ruḳh-o-gesū dikhā kar naaz se kahtā hai vo dilbar
koī kāfir ho paidā aur koī dīñ-dār ho paidā
tumhārī silk-dandāñ ke tasavvur ne rulāyā hai
na kyuuñ ashkoñ se mere gauhar-e-shahvār ho paidā
kahīñ muñh phertā hai jāñ-nisār-e-ishq marne se
fidā vo jaan kar le tujh pe gar sau baar ho paidā
agar girya-kunāñ sarshār-e-ulfat huuñ to ai saaqī
unhīñ ke āñsuoñ se bāda-e-gulnār ho paidā
mudāvā ġhair-mumkin hai tire bīmār-e-ulfat kā
jo ik āzār achchhā ho to ik āzār ho paidā
'jamīla' nāvak-e-mizhgān-e-dil-bar se jo ho zaḳhmī
na kyuuñ us kī lahad par nargis-e-bīmār ho paidā
tamasha ho jo dil mein aks-e-ru-e-yar ho paida
ki apna ishq ka ek mahram-e-asrar ho paida
ruKH-o-gesu dikha kar naz se kahta hai wo dilbar
koi kafir ho paida aur koi din-dar ho paida
tumhaari silk-dandan ke tasawwur ne rulaya hai
na kyun ashkon se mere gauhar-e-shahwar ho paida
kahin munh pherta hai jaan-nisar-e-ishq marne se
fida wo jaan kar le tujh pe gar sau bar ho paida
agar girya-kunan sarshaar-e-ulfat hun to ai saqi
unhin ke aansuon se baada-e-gulnar ho paida
mudawa ghair-mumkin hai tere bimar-e-ulfat ka
jo ek aazar achchha ho to ek aazar ho paida
'jamila' nawak-e-mizhgan-e-dil-bar se jo ho zaKHmi
na kyun us ki lahad par nargis-e-bimar ho paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.