tamazaton ka aasman jheliye
tamāzatoñ kā āsmān jheliye
nafas nafas azāb-e-jān jheliye
junūñ kā vahshatoñ kā imtihān hai
mohabbatoñ se imtihān jheliye
vo ek hādisa thā jo guzar gayā
badan pe lams ke nishān jheliye
ye mujh se un ke rābtoñ kī shart hai
nazar meñ ḳhvāb kī zabān jheliye
haqīqatoñ se rabt Tuut bhī chukā
gumāñ kī saarī ān-bān jheliye
junūñ-ḳhayāl sāhiloñ pe ret se
banā liyā hai jo makān jheliye
'humairā' shīsha-paikaroñ kī baat se
huā jo sab lahūluhān jheliye
tamazaton ka aasman jheliye
nafas nafas azab-e-jaan jheliye
junun ka wahshaton ka imtihan hai
mohabbaton se imtihan jheliye
wo ek hadisa tha jo guzar gaya
badan pe lams ke nishan jheliye
ye mujh se un ke rabton ki shart hai
nazar mein KHwab ki zaban jheliye
haqiqaton se rabt Tut bhi chuka
guman ki sari aan-ban jheliye
junun-KHayal sahilon pe ret se
bana liya hai jo makan jheliye
'humaira' shisha-paikaron ki baat se
hua jo sab lahuluhan jheliye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.