tamanna ka badan bikhra paDa hai
tamanna kā badan bikhrā paḌā hai
vo ik gul-dān jo TuuTā paḌā hai
tirī aahaT pe shāyad chauñk uTThe
bahut din se badan gūñgā paḌā hai
jise dāman mayassar hai vo ro.e
yahāñ ik 'umr kā sūkhā paḌā hai
abhī pahchān baaqī hai hamārī
abhī tak gaañv meñ hissa paḌā hai
tujhe jaldī hai vāpas lauTne kī
ta'alluq kā sirā uljhā paḌā hai
jo chāhe maañg lo qīmat tum apnī
abhī kirdār par parda paḌā hai
tamanna ka badan bikhra paDa hai
wo ek gul-dan jo TuTa paDa hai
teri aahaT pe shayad chaunk uTThe
bahut din se badan gunga paDa hai
jise daman mayassar hai wo roe
yahan ek 'umr ka sukha paDa hai
abhi pahchan baqi hai hamari
abhi tak ganw mein hissa paDa hai
tujhe jaldi hai wapas lauTne ki
ta'alluq ka sira uljha paDa hai
jo chahe mang lo qimat tum apni
abhi kirdar par parda paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.