Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho

Zareef Lakhnavi

tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho

Zareef Lakhnavi

tamannā hai kisī teġh ho aur apnī gardan ho

phir us ke ba.ad yārab sar kaTe naale meñ madfan ho

hujūm-e-ām ho aur mujtam.a goroñ palTan ho

samajh lo lauT aa.e haiñ jo station pe dan dan ho

kaheñ qātil ko ham mahbūb agar hai ain nādānī

hazar lāzim hai aise shaḳhs se jo apnā dushman ho

lab-e-shīrīñ agar ma.ashūq qand-e-mukarrar hai

jabhī jāneñ ki baiTheñ makkhiyāñ aur us pe bhan bhan ho

na turbat jagah kūche meñ paa.ī to shikāyat kyā

galī un koī takiya hai jis meñ apnā madfan ho

ye sab lakḌī ke taḳhte ḳhaak meñ mil jaa.eñ jal-bhun kar

ġhazab ho jaa.e gar sach-much lahad meñ daaġh raushan ho

yahī dahshat agar dast-e-junūñ hai to ai bhaa.ī

dupaTTa oḌh lo jis meñ garebāñ ho na dāman ho

nigāh-e-shauq kyā Thahrī vo goyā belcha Thahrī

makān-e-yār dīvār meñ jis se ki rauzan ho

machā.e shor-o-ġhul āh-e-sharar-afshāñ kare har-dam

yahī ausāf lāzim hai to āshiq kyuuñ ho engine ho

hamārā jhonjh phulvārī meñ ho koī nahīñ kahtā

yahī kahte haiñ yārab baaġh meñ apnā nasheman ho

azal se tā-abad lambī yaqīñ hai Taañg bhī hogī

hasīn shoḳh vo sahrā-e-mahshar jis dāman ho

'zarīf' insāf se kah do vo āshiq hai ki chuhā hai

zamīn-e-qasr-e-jānāñ meñ jo ye chāhe ki maskan ho

tamanna hai kisi ki tegh ho aur apni gardan ho

phir us ke baad yarab sar kaTe nale mein madfan ho

hujum-e-am ho aur mujtama goron ki palTan ho

samajh lo lauT aae hain jo station pe dan dan ho

kahen qatil ko hum mahbub agar hai ain nadani

hazar lazim hai aise shaKHs se jo apna dushman ho

lab-e-shirin agar mashuq ka qand-e-mukarrar hai

jabhi jaanen ki baiThen makkhiyan aur us pe bhan bhan ho

na turbat ki jagah kuche mein pai to shikayat kya

gali un ki koi takiya hai jis mein apna madfan ho

ye sab lakDi ke taKHte KHak mein mil jaen jal-bhun kar

ghazab ho jae gar sach-much lahad mein dagh raushan ho

yahi dahshat agar dast-e-junun ki hai to ai bhai

dupaTTa oDh lo jis mein gareban ho na daman ho

nigah-e-shauq kya Thahri wo goya belcha Thahri

makan-e-yar ki diwar mein jis se ki rauzan ho

machae shor-o-ghul aah-e-sharar-afshan kare har-dam

yahi ausaf lazim hai to aashiq kyun ho engine ho

hamara jhonjh phulwari mein ho koi nahin kahta

yahi kahte hain yarab bagh mein apna nasheman ho

azal se ta-abad lambi yaqin hai Tang bhi hogi

hasin shoKH wo sahra-e-mahshar jis ka daman ho

'zarif' insaf se kah do wo aashiq hai ki chuha hai

zamin-e-qasr-e-jaanan mein jo ye chahe ki maskan ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

Speak Now