tamanna hai tamanna mein teri ji se guzar jaen
tamanna hai tamanna mein teri ji se guzar jaen
Baldev singh Hamdam
MORE BYBaldev singh Hamdam
tamannā hai tamannā meñ tirī jī se guzar jaa.eñ
yahī hai aarzū apnī isī ḳhvāhish meñ mar jaa.eñ
gunāhoñ meñ samā jaa.eñ kaleje meñ utar jaa.eñ
mirī duniyā-e-hastī meñ tire jalve bikhar jaa.eñ
na duniyā meñ Thikāna hai na uqbā meñ Thikāna hai
tire bande agar jaanā bhī chāheñ to kidhar jaa.eñ
tire rindoñ meñ ai saaqī bhalā itnī kahāñ tāqat
bachā kar apnā dāman mai-kade se vo guzar jaa.eñ
luTā kar dīn-o-duniyā anjuman meñ terī aa.e the
yahāñ se uTh kar ab ham Thokareñ khāne kahāñ jaa.eñ
hamāre daur-e-māzī kī na ham se pūchh ai 'hamdam'
vahī achchhe haiñ lamhe zindagī ke jo guzar jaa.eñ
tamanna hai tamanna mein teri ji se guzar jaen
yahi hai aarzu apni isi KHwahish mein mar jaen
gunahon mein sama jaen kaleje mein utar jaen
meri duniya-e-hasti mein tere jalwe bikhar jaen
na duniya mein Thikana hai na uqba mein Thikana hai
tere bande agar jaana bhi chahen to kidhar jaen
tere rindon mein ai saqi bhala itni kahan taqat
bacha kar apna daman mai-kade se wo guzar jaen
luTa kar din-o-duniya anjuman mein teri aae the
yahan se uTh kar ab hum Thokaren khane kahan jaen
hamare daur-e-mazi ki na hum se puchh ai 'hamdam'
wahi achchhe hain lamhe zindagi ke jo guzar jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.