tamanna hai ye aankhon ki tera didar aa dekhen
tamannā hai ye āñkhoñ kī tirā dīdār aa dekheñ
kabhī rauza tirā yā-ahmad-e-muḳhtār aa dekheñ
shifā ho jaa.e dam meñ kushta-e-hijr-e-mohammad ko
agar vo ḳhvāb meñ bhī hālat-e-bīmār aa dekheñ
ye dil thā un kā maskan mat ujaaḌ us ko ġham-e-hijrāñ
ġhazab aa jā.egā gar shāh-e-dīñ mismār aa dekheñ
na kuchh marne kā ġham ho aur na kuchh shikva ho furqat kā
agar hālat mirī vo sayyad-e-abrār aa dekheñ
jo maddāh-e-nabī par ta.ana-zan mumtāz hote haiñ
dikhā.eñ sher apne aur mire ash.ār aa dekheñ
tamanna hai ye aankhon ki tera didar aa dekhen
kabhi rauza tera ya-ahmad-e-muKHtar aa dekhen
shifa ho jae dam mein kushta-e-hijr-e-mohammad ko
agar wo KHwab mein bhi haalat-e-bimar aa dekhen
ye dil tha un ka maskan mat ujaD us ko gham-e-hijran
ghazab aa jaega gar shah-e-din mismar aa dekhen
na kuchh marne ka gham ho aur na kuchh shikwa ho furqat ka
agar haalat meri wo sayyad-e-abrar aa dekhen
jo maddah-e-nabi par tana-zan mumtaz hote hain
dikhaen sher apne aur mere ashaar aa dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.