tamanna thi so marqad par gaya tha
tamannā thī so marqad par gayā thā
na samjho ye ki maiñ bhī mar gayā thā
ḳhudā se kyā gila sach to yahī hai
maiñ apnī hasratoñ se Dar gayā thā
nigāheñ muntazir the haath ḳhālī
phir ik mazdūr kaise ghar gayā thā
jo mushkil aa paḌī to vo na aa.e
magar ḳhush huuñ ki maiñ aksar gayā thā
zamīn-o-āsmāñ shāhid haiñ us ke
ki phailā chār-sū vo shar gayā thā
thī masjid dāvat-e-maslak tabhī maiñ
ḳhudā ko DhūñDne mandar gayā thā
banā kāfir musalmāñ ab hai hasrat
maiñ kāfir ko musalmāñ kar gayā thā
tamanna thi so marqad par gaya tha
na samjho ye ki main bhi mar gaya tha
KHuda se kya gila sach to yahi hai
main apni hasraton se Dar gaya tha
nigahen muntazir the hath KHali
phir ek mazdur kaise ghar gaya tha
jo mushkil aa paDi to wo na aae
magar KHush hun ki main aksar gaya tha
zamin-o-asman shahid hain us ke
ki phaila chaar-su wo shar gaya tha
thi masjid dawat-e-maslak tabhi main
KHuda ko DhunDne mandar gaya tha
bana kafir musalman ab hai hasrat
main kafir ko musalman kar gaya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.