tamannaen Thikana chahti hain
tamannā.eñ Thikāna chāhtī haiñ
tire pahlū meñ aanā chāhtī haiñ
zarā nazdīk aa kar baiThiyegā
ye āñkheñ āb-o-dāna chāhtī haiñ
badan ke rañg ruḳhsat ho rahe haiñ
magar sāñseñ nibhānā chāhtī haiñ
hameñ paḌhne kī chāhat aur kuchh hai
kitābeñ kuchh paḌhānā chāhtī haiñ
ye dil vishvās karnā chāhtā hai
nigāheñ sach batānā chāhtī haiñ
tamannaen Thikana chahti hain
tere pahlu mein aana chahti hain
zara nazdik aa kar baiThiyega
ye aankhen aab-o-dana chahti hain
badan ke rang ruKHsat ho rahe hain
magar sansen nibhana chahti hain
hamein paDhne ki chahat aur kuchh hai
kitaben kuchh paDhana chahti hain
ye dil wishwas karna chahta hai
nigahen sach batana chahti hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.