tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti
tamannāoñ kī duniyā meñ qadam dharne nahīñ detī
jo karnā chāhtā huuñ zindagī karne nahīñ detī
koī sūrat nahīñ hai zindagī se bach nikalne kī
ġham-o-ālām ke māroñ ko bhī marne nahīñ detī
añdherā laakh ho mujh ko sahar kī aas rahtī hai
yahī vo raushnī hai jo mujhe Darne nahīñ detī
koī mausam ho un zulfoñ kī ḳhushbū le hī aatī hai
havā-e-shauq dil ke zaḳhm ko bharne nahīñ detī
ḳhudā ne mere andar kyā ḳhabar kyā chiiz rakh dī hai
jo samjhauta mujhe hālāt se karne nahīñ detī
mujhe ma.alūm hai va.ada nibhānā saḳht mushkil hai
mirī kam-himmatī inkār bhī karne nahīñ detī
guzartī rau badaltī jā rahī hai ek ik shai ko
kisī shai se mujhe ulfat kā dam bharne nahīñ detī
tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti
jo karna chahta hun zindagi karne nahin deti
koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki
gham-o-alam ke maron ko bhi marne nahin deti
andhera lakh ho mujh ko sahar ki aas rahti hai
yahi wo raushni hai jo mujhe Darne nahin deti
koi mausam ho un zulfon ki KHushbu le hi aati hai
hawa-e-shauq dil ke zaKHm ko bharne nahin deti
KHuda ne mere andar kya KHabar kya chiz rakh di hai
jo samjhauta mujhe haalat se karne nahin deti
mujhe malum hai wada nibhana saKHt mushkil hai
meri kam-himmati inkar bhi karne nahin deti
guzarti rau badalti ja rahi hai ek ek shai ko
kisi shai se mujhe ulfat ka dam bharne nahin deti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.