tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur
tamhīd-e-sitam aur hai takmīl-e-jafā aur
chakhne kā mazā aur hai piine kā mazā aur
donoñ hī binā-e-kashish-o-jazb haiñ lekin
naġhmoñ kī sadā aur hai nāloñ kī sadā aur
ai fitrat-e-ġham ziist hī kyā kam thī musībat
nāzil huī is par ye mohabbat kī balā aur
Takrā ke vahīñ TuuT ga.e shīsha-o-sāġhar
mai-ḳhvāroñ ke jhurmuT meñ jo saaqī ne kahā aur
vo ḳhud nazar aate haiñ jafāoñ pe pashemāñ
kyā chāhiye ab tum ko 'shakīl' is ke sivā aur
tamhid-e-sitam aur hai takmil-e-jafa aur
chakhne ka maza aur hai pine ka maza aur
donon hi bina-e-kashish-o-jazb hain lekin
naghmon ki sada aur hai nalon ki sada aur
ai fitrat-e-gham zist hi kya kam thi musibat
nazil hui is par ye mohabbat ki bala aur
Takra ke wahin TuT gae shisha-o-saghar
mai-KHwaron ke jhurmuT mein jo saqi ne kaha aur
wo KHud nazar aate hain jafaon pe pasheman
kya chahiye ab tum ko 'shakil' is ke siwa aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.