tan-e-be-jaan mein ab raha kya hai
tan-e-be-jaan mein ab raha kya hai
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq
tan-e-be-jāñ meñ ab rahā kyā hai
dekhiye marzi-e-ḳhudā kyā hai
apnī hālat pe aaj rotā hai
dil-e-dīvāna ko huā kyā hai
ai tabībo tumheñ ḳhudā kī qasam
sach batā do ki mājrā kyā hai
maiñ ḳhatāvār hī sahī lekin
sun to lo pahle mājrā kyā hai
na khulā aaj tak kisī par bhī
ḳhat-e-taqdīr meñ likhā kyā hai
kyuuñ ye chup chup ga.e adam vaale
yā-ilāhī ye mājrā kyā hai
lab-e-zaḳhm-e-jigar to hañste haiñ
tū ne ai baḳhiya-gar siyā kyā hai
dil to kyā jaan ishq meñ de dī
ye na pūchhā ki mudda.ā kyā hai
uTh ke pichhle se aahoñ kā bharnā
'shauq' terā ye mashġhala kyā hai
tan-e-be-jaan mein ab raha kya hai
dekhiye marzi-e-KHuda kya hai
apni haalat pe aaj rota hai
dil-e-diwana ko hua kya hai
ai tabibo tumhein KHuda ki qasam
sach bata do ki majra kya hai
main KHatawar hi sahi lekin
sun to lo pahle majra kya hai
na khula aaj tak kisi par bhi
KHat-e-taqdir mein likha kya hai
kyun ye chup chup gae adam wale
ya-ilahi ye majra kya hai
lab-e-zaKHm-e-jigar to hanste hain
tu ne ai baKHiya-gar siya kya hai
dil to kya jaan ishq mein de di
ye na puchha ki muddaa kya hai
uTh ke pichhle se aahon ka bharna
'shauq' tera ye mashghala kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.