tan par teri pyas oDh ke gati hun
tan par terī pyaas oḌh ke gaatī huuñ
maiñ terī muskān liye muskātī huuñ
mere nainan tere chāñd sitāre haiñ
terī soch ko niil gagan pahnātī huuñ
tere gītoñ kī madmātī madirā ko
din rainā piitī huuñ aur pilātī huuñ
tan darpan kā paanī aur damak uTThe
jab maiñ tere nain se nain milātī huuñ
tanhā.ī jab naam tirā dohrātī hai
maiñ apnī parchhā.īñ se Dar jaatī huuñ
pītam terī paa.el kyā kyā shor kare
phūloñ meñ jab ruup maiñ terā paatī huuñ
jīvan sur dekhā hai tere boloñ se
'rāhī' terī chup se maiñ mar jaatī huuñ
tan par teri pyas oDh ke gati hun
main teri muskan liye muskati hun
mere nainan tere chand sitare hain
teri soch ko nil gagan pahnati hun
tere giton ki madmati madira ko
din raina piti hun aur pilati hun
tan darpan ka pani aur damak uTThe
jab main tere nain se nain milati hun
tanhai jab nam tera dohraati hai
main apni parchhain se Dar jati hun
pitam teri pael kya kya shor kare
phulon mein jab rup main tera pati hun
jiwan sur dekha hai tere bolon se
'rahi' teri chup se main mar jati hun
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 568)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.