tanab-e-zat kisi hath mein jami hui hai
tanāb-e-zāt kisī haath meñ jamī huī hai
ki jaise vaqt kī dhaḌkan yahīñ rukī huī hai
tujhe ravā nahīñ paiġhām vasl ke bhejeñ
lakīr hijr kī jab haath par banī huī hai
har ik darāḌ badan kī numāyāñ ho ga.ī hai
kahānī dard kī dīvār par likhī huī hai
yūñhī to ḳhvāb hameñ dasht ke nahīñ aate
hamārī aañkh kahīñ ret meñ dabī huī hai
vo mere saath kisī dā.ere meñ chal rahā hai
ghaḌī kī tīsrī suuī magar thamī huī hai
vo shaḳhs faisla kar ke gayā nahīñ tā-hāl
ki aane vaalī qayāmat abhī Talī huī hai
vo aa.ine meñ magan kuchh bhī dekhtā nahīñ hai
maiñ kyā batā.ūñ mirī jaan par banī huī hai
badan meñ ishq bhī halkore le rahā hai 'zubair'
hamāre sāmne rassī koī tanī huī hai
tanab-e-zat kisi hath mein jami hui hai
ki jaise waqt ki dhaDkan yahin ruki hui hai
tujhe rawa nahin paigham wasl ke bhejen
lakir hijr ki jab hath par bani hui hai
har ek daraD badan ki numayan ho gai hai
kahani dard ki diwar par likhi hui hai
yunhi to KHwab hamein dasht ke nahin aate
hamari aankh kahin ret mein dabi hui hai
wo mere sath kisi daere mein chal raha hai
ghaDi ki tisri sui magar thami hui hai
wo shaKHs faisla kar ke gaya nahin ta-haal
ki aane wali qayamat abhi Tali hui hai
wo aaine mein magan kuchh bhi dekhta nahin hai
main kya bataun meri jaan par bani hui hai
badan mein ishq bhi halkore le raha hai 'zubair'
hamare samne rassi koi tani hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.