tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum
Interesting Fact
1960
tañg aa ga.e haiñ kashmakash-e-āshiyāñ se ham
ab jā rahe haiñ aap ke is gulsitāñ se ham
sayyād ne jo kaaT diye bāl-o-par tamām
fariyād aaj karte haiñ us bāġhbāñ se ham
bijlī chamak rahī hai nasheman kī ḳhair ho
māyūs ho ga.e haiñ kuchh ab āshiyāñ se ham
fasl-e-bahār hai ajī gaane ke roz haiñ
kunj-e-qafas meñ baiThe haiñ ik be-zabāñ se ham
har shaḳhs hai hamārī mohabbat pe tā'na-zan
tañg aa ga.e haiñ apnī hī is dāstāñ se ham
un kī navāzishāt bhī sab rā.egāñ ga.iiñ
nādim se ho rahe haiñ ab ik mehrbāñ se ham
ye shukr hai ki duur nahīñ manzil-e-murād
chhup-chhup ke jā pahuñchte haiñ har pāsbāñ se ham
ai dil mu'āf kar de 'nizāmī' kī be-ruḳhī
Darte haiñ is zamāne meñ har bad-gumāñ se ham
tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum
ab ja rahe hain aap ke is gulsitan se hum
sayyaad ne jo kaT diye baal-o-par tamam
fariyaad aaj karte hain us baghban se hum
bijli chamak rahi hai nasheman ki KHair ho
mayus ho gae hain kuchh ab aashiyan se hum
fasl-e-bahaar hai aji gane ke roz hain
kunj-e-qafas mein baiThe hain ek be-zaban se hum
har shaKHs hai hamari mohabbat pe ta'na-zan
tang aa gae hain apni hi is dastan se hum
un ki nawazishat bhi sab raegan gain
nadim se ho rahe hain ab ek mehrban se hum
ye shukr hai ki dur nahin manzil-e-murad
chhup-chhup ke ja pahunchte hain har pasban se hum
ai dil mu'af kar de 'nizami' ki be-ruKHi
Darte hain is zamane mein har bad-guman se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.