tang-dasti ka bura ho sab se yarane gae
tang-dastī kā burā ho sab se yārāne ga.e
haañ magar apne parā.e aaj pahchāne ga.e
dosh hai qismat kā apnī ab kise ilzām deñ
ban ga.e dushman vahī ham jin ko apnāne ga.e
saikḌoñ ranj-o-alam dil meñ basā kar laa.e haiñ
jab bhī ham mahfil meñ un kī dil ko bahlāne ga.e
tujh pe bhī ilzām kuchh aaya to hogā bevafā
terī mahfil se jo uTh kar tere dīvāne ga.e
ho gayā ehsās ḳhuddārī kā 'māhir' jab se ham
ġhair ke dar par na ab tak haath phailāne ga.e
tang-dasti ka bura ho sab se yarane gae
han magar apne parae aaj pahchane gae
dosh hai qismat ka apni ab kise ilzam den
ban gae dushman wahi hum jin ko apnane gae
saikDon ranj-o-alam dil mein basa kar lae hain
jab bhi hum mahfil mein un ki dil ko bahlane gae
tujh pe bhi ilzam kuchh aaya to hoga bewafa
teri mahfil se jo uTh kar tere diwane gae
ho gaya ehsas KHuddari ka 'mahir' jab se hum
ghair ke dar par na ab tak hath phailane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.