tang kamre ghar bhi chhoTe kya hawa taza lage
tañg kamre ghar bhī chhoTe kyā havā taaza lage
ham chaleñ jitnā bhī jhuk kar sar ko darvāza lage
kyā hai tūfāñ kyā hai bārish āñdhiyāñ hotī haiñ kyā
ghaas kī chhat meñ raho to phir ye andāza lage
jab kareñ saḌkoñ pe mazdūrī abhāgan laḌkiyāñ
pyārī-pyārī sūratoñ pe dhuul kā ġhāza lage
dasht-e-tanhā.ī meñ 'kāshif' chhoḌ kar vo kyā ga.e
bikhrā-bikhrā zindagī kā apnī shīrāza lage
tang kamre ghar bhi chhoTe kya hawa taza lage
hum chalen jitna bhi jhuk kar sar ko darwaza lage
kya hai tufan kya hai barish aandhiyan hoti hain kya
ghas ki chhat mein raho to phir ye andaza lage
jab karen saDkon pe mazduri abhagan laDkiyan
pyari-pyari suraton pe dhul ka ghaza lage
dasht-e-tanhai mein 'kashif' chhoD kar wo kya gae
bikhra-bikhra zindagi ka apni shiraaza lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.