tang-o-mahdud bahut husn-e-nazar tha pahle
tañg-o-mahdūd bahut husn-e-nazar thā pahle
zulf-o-ruḳhsār pe mauqūf hunar thā pahle
āne-jāne kā sarokār kahāñ se aayā
koī jaada na musāfir na safar thā pahle
ab bhī gardish meñ mirī dhuup rahā kartī hai
yahī saaya jo udhar hai ye idhar thā pahle
dar-o-dīvār se āzād bayābāñ phir ho
apne shorīda-saroñ kā yahī ghar thā pahle
mirī talvār pe hai razm purānī likkhī
mire ḳhāmosh lahū meñ bhī bhañvar thā pahle
ye tasavvur bhī palā āb-o-havā meñ merī
is zamīñ par na khaḌā aisā shajar thā pahle
tang-o-mahdud bahut husn-e-nazar tha pahle
zulf-o-ruKHsar pe mauquf hunar tha pahle
aane-jaane ka sarokar kahan se aaya
koi jada na musafir na safar tha pahle
ab bhi gardish mein meri dhup raha karti hai
yahi saya jo udhar hai ye idhar tha pahle
dar-o-diwar se aazad bayaban phir ho
apne shorida-saron ka yahi ghar tha pahle
meri talwar pe hai razm purani likkhi
mere KHamosh lahu mein bhi bhanwar tha pahle
ye tasawwur bhi pala aab-o-hawa mein meri
is zamin par na khaDa aisa shajar tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.