tanha apni zat liye phirta hun main
tanhā apnī zaat liye phirtā huuñ maiñ
ḳhud ko apne saath liye phirtā huuñ maiñ
lafzoñ kā sailāb uñDelūñ ḳhaak yahāñ
nannhī sī ik baat liye phirtā huuñ maiñ
baḌī baḌī dīvāreñ kaise toḌūñgā!!
chhoTe chhoTe haath liye phirtā huuñ maiñ
harī bharī beloñ kā qissa kyā likkhūñ
sūkhe sūkhe paat liye phirtā huuñ maiñ
'sūraj' apne dil kī ujḌī bastī meñ
yādoñ kī bārāt liye phirtā huuñ maiñ
tanha apni zat liye phirta hun main
KHud ko apne sath liye phirta hun main
lafzon ka sailab unDelun KHak yahan
nannhi si ek baat liye phirta hun main
baDi baDi diwaren kaise toDunga!!
chhoTe chhoTe hath liye phirta hun main
hari bhari belon ka qissa kya likkhun
sukhe sukhe pat liye phirta hun main
'suraj' apne dil ki ujDi basti mein
yaadon ki baraat liye phirta hun main
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 392)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.