tanha chand ko dekha hoga
tanhā chāñd ko dekhā hogā
koī yaad to aayā hogā
zabt kā shīsha chaTḳhā hogā
yaad ne kankar pheñkā hogā
sāvan kī bhīgī ḳhushbū ne
sāñsoñ ko sulgāyā hogā
gāgar se chimTī hai 'rādhā'
'shyām' jo us ko chhūtā hogā
ham kyā ḳhaak ġhazal likkheñ jab
añgḌā.ī par pahra hogā
tere tevar dekh ke aksar
mausam rañg badaltā hogā
jis ne pyaar luTāyā us kā
aañsū hī sarmāya hogā
vasl kī chaah meñ taptā sūraj
sāġhar Duub ke rotā hogā
sauñp ke maujoñ ko bechainī
pyāsā sāhil sotā hogā
taara TuuTā aur dil dhaḌkā
tujhe kisī ne māñgā hogā
tanha chand ko dekha hoga
koi yaad to aaya hoga
zabt ka shisha chaTKHa hoga
yaad ne kankar phenka hoga
sawan ki bhigi KHushbu ne
sanson ko sulgaya hoga
gagar se chimTi hai 'radha'
'shyam' jo us ko chhuta hoga
hum kya KHak ghazal likkhen jab
angDai par pahra hoga
tere tewar dekh ke aksar
mausam rang badalta hoga
jis ne pyar luTaya us ka
aansu hi sarmaya hoga
wasl ki chah mein tapta suraj
saghar Dub ke rota hoga
saunp ke maujon ko bechaini
pyasa sahil sota hoga
tara TuTa aur dil dhaDka
tujhe kisi ne manga hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.