tanha hain anjuman mein bhi aisa laga hamein
tanhā haiñ anjuman meñ bhī aisā lagā hameñ
chāroñ taraf udaas sā manzar lagā hameñ
aate dinoñ meñ jis kā havāla na ban sakeñ
maazī ke us frame se bāhar lagā hameñ
dekhā hisār-e-zāt se bāhar nikal ke jab
ik dā.era sā zehn ke andar lagā hameñ
jab aa.ine se gard kā parda utar gayā
apnī hī zindagī se bahut Dar lagā hameñ
jis kī talāsh meñ ka.ī sadiyāñ guzar ga.iiñ
jhāñkā jo dil meñ apne to andar lagā hameñ
ham bhī taḳhayyulāt kī duniyā meñ ghuum leñ
maulā bas ek din ke liye par lagā hameñ
tanha hain anjuman mein bhi aisa laga hamein
chaaron taraf udas sa manzar laga hamein
aate dinon mein jis ka hawala na ban saken
mazi ke us frame se bahar laga hamein
dekha hisar-e-zat se bahar nikal ke jab
ek daera sa zehn ke andar laga hamein
jab aaine se gard ka parda utar gaya
apni hi zindagi se bahut Dar laga hamein
jis ki talash mein kai sadiyan guzar gain
jhanka jo dil mein apne to andar laga hamein
hum bhi taKHayyulat ki duniya mein ghum len
maula bas ek din ke liye par laga hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.