tanha hua to karb mujhe jagta mila
tanhā huā to karb mujhe jāgtā milā
ḳhāmoshiyoñ kā saarā fusūñ TūTtā milā
ye kaisī be-hisī hai tire shahr meñ batā
har shaḳhs zindagī kā patā pūchhtā milā
apnī ḳhudī meñ ahl-e-ḳhirad kho ke rah ga.e
mujh ko tirī talāsh meñ ḳhud kā patā milā
ḳhūn-e-jigar se jab bhī jalā.e ga.e diye
bhaTkī huī hayāt ko ik rāsta milā
gūñjī hai duur duur havāoñ meñ siskiyāñ
naġhma jo sāz-e-dil se koī phūTtā milā
tanha hua to karb mujhe jagta mila
KHamoshiyon ka sara fusun TuTta mila
ye kaisi be-hisi hai tere shahr mein bata
har shaKHs zindagi ka pata puchhta mila
apni KHudi mein ahl-e-KHirad kho ke rah gae
mujh ko teri talash mein KHud ka pata mila
KHun-e-jigar se jab bhi jalae gae diye
bhaTki hui hayat ko ek rasta mila
gunji hai dur dur hawaon mein siskiyan
naghma jo saz-e-dil se koi phuTta mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.