tanha kab hun mere sang parinde hain
tanhā kab huuñ mere sang parinde haiñ
sapne bhī to rangā-rang parinde haiñ
mujh ko baiThā dekh ke jumle kaste the
mere uḌne par ab dang parinde haiñ
phir se ka.aba ik dushman kī zad par hai
phir lashkar se mahv-e-jang parinde haiñ
tere saath haiñ shahr kī puḳhta dīvāreñ
maiñ sādhū huuñ mere sang parinde haiñ
tere lahje kī tasvīrī shakleñ haiñ
jitne bhī uḌte ḳhush-rang parinde haiñ
pinjroñ kī bohtāt gavāhī detī hai
insānoñ ke hāthoñ tang parinde haiñ
sab kuchh hai bas terī ek kamī sī hai
bādal paanī dhuup patang parinde haiñ
be-ḳhud sī vo har-sū uḌtī phirtī hai
us ke 'āsif' saare ang parinde haiñ
tanha kab hun mere sang parinde hain
sapne bhi to ranga-rang parinde hain
mujh ko baiTha dekh ke jumle kaste the
mere uDne par ab dang parinde hain
phir se kaba ek dushman ki zad par hai
phir lashkar se mahw-e-jang parinde hain
tere sath hain shahr ki puKHta diwaren
main sadhu hun mere sang parinde hain
tere lahje ki taswiri shaklen hain
jitne bhi uDte KHush-rang parinde hain
pinjron ki bohtat gawahi deti hai
insanon ke hathon tang parinde hain
sab kuchh hai bas teri ek kami si hai
baadal pani dhup patang parinde hain
be-KHud si wo har-su uDti phirti hai
us ke 'asif' sare ang parinde hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.