tanha na mahr mein hai ruKH-e-yar ki tarah
tanha na mahr mein hai ruKH-e-yar ki tarah
Meerza Jawan Bakht Jahandar
MORE BYMeerza Jawan Bakht Jahandar
tanhā na mahr meñ hai ruḳh-e-yār kī tarah
mah meñ tamām us ke hai ruḳhsār kī tarah
hairān aise na.iiñ huī āñkhoñ ko us kī dekh
nargis chaman meñ rahtī hai bīmār kī tarah
maiñ sun ke jo qayās kiyā vo dahān-e-tang
ḳhandāñ to hai pe ḳhanda-e-sofār kī tarah
sīna-sipar huuñ bul-havasāñ kab ki yaar ke
paivasta abrū laḌte haiñ talvār kī tarah
rakhiyo hazar ai dil ki mujhe aaj be-tarah
aatī nazar hai shoḳh dil-āzār kī tarah
aġhyār us kī bazm meñ haiñ aur dar par aah
ham hī paḌe raheñge gunahgār kī tarah
kahte the qais-o-vāmiq-o-farhād vāh-vā
koī āshiqī kare to 'jahāñdār' kī tarah
tanha na mahr mein hai ruKH-e-yar ki tarah
mah mein tamam us ke hai ruKHsar ki tarah
hairan aise nain hui aankhon ko us ki dekh
nargis chaman mein rahti hai bimar ki tarah
main sun ke jo qayas kiya wo dahan-e-tang
KHandan to hai pe KHanda-e-sofar ki tarah
sina-sipar hun bul-hawasan kab ki yar ke
paiwasta abru laDte hain talwar ki tarah
rakhiyo hazar ai dil ki mujhe aaj be-tarah
aati nazar hai shoKH dil-azar ki tarah
aghyar us ki bazm mein hain aur dar par aah
hum hi paDe rahenge gunahgar ki tarah
kahte the qais-o-wamiq-o-farhad wah-wa
koi aashiqi kare to 'jahandar' ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.