tanha qamar ko chhoD ke tare chale gae
tanhā qamar ko chhoḌ ke taare chale ga.e
ġhurbat meñ jaise yaar hamāre chale ga.e
ham zindagī ko aise guzāre chale ga.e
jaise ki koī qarz utāre chale ga.e
tum kyā badal ga.e ki zamāna badal gayā
ḳhush-qismatī ke saare sitāre chale ga.e
jo phal gire zamīñ pe vo yāroñ ne chun liye
ham pattharoñ ko peḌ pe maare chale ga.e
us ne baḌe fareb se har shart jiit lī
ham bhī baḌe ḳhulūs se haare chale ga.e
ab mausam-e-bahār bhī dene lagā fareb
āñkhoñ kī taab le ke nazāre chale ga.e
vo kyā ga.e ki ġhazleñ bhī be-jān ho ga.iiñ
sab ramz sab kinā.e ishāre chale ga.e
is se ziyāda ham se ta.ayyush na ho sakā
gaañv ga.e to nahr kināre chale ga.e
manzar-kashī kuchh aisī kī vaa.iz ne hashr kī
masjid ko ham bhī ḳhauf ke maare chale ga.e
un kī jafā vafā meñ na tabdīl ho sakī
ham jān-o-dil kī nazr guzāre chale ga.e
āñkheñ khulīñ to dhuup thī har sū vahī 'suhaib'
ḳhvāboñ ke sab hasīn nazāre chale ga.e
tanha qamar ko chhoD ke tare chale gae
ghurbat mein jaise yar hamare chale gae
hum zindagi ko aise guzare chale gae
jaise ki koi qarz utare chale gae
tum kya badal gae ki zamana badal gaya
KHush-qismati ke sare sitare chale gae
jo phal gire zamin pe wo yaron ne chun liye
hum pattharon ko peD pe mare chale gae
us ne baDe fareb se har shart jit li
hum bhi baDe KHulus se haare chale gae
ab mausam-e-bahaar bhi dene laga fareb
aankhon ki tab le ke nazare chale gae
wo kya gae ki ghazlen bhi be-jaan ho gain
sab ramz sab kinae ishaare chale gae
is se ziyaada hum se tayyush na ho saka
ganw gae to nahr kinare chale gae
manzar-kashi kuchh aisi ki waiz ne hashr ki
masjid ko hum bhi KHauf ke mare chale gae
un ki jafa wafa mein na tabdil ho saki
hum jaan-o-dil ki nazr guzare chale gae
aankhen khulin to dhup thi har su wahi 'suhaib'
KHwabon ke sab hasin nazare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.