tanha safar mein chalne ki aadat tujhe bhi ho
tanha safar mein chalne ki aadat tujhe bhi ho
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
tanhā safar meñ chalne kī aadat tujhe bhī ho
vīrān maqbaroñ se aqīdat tujhe bhī ho
yaḳh-basta shab guzār kabhī tū bhī hijr meñ
merī tarah kisī se mavaddat tujhe bhī ho
tujh se bichhaḌ ke kitnā hasīñ ho gayā huuñ maiñ
aa sāmne ki thoḌī sī hairat tujhe bhī ho
maiñ chāhtā nahīñ ki tirī aañkh nam rahe
maiñ chāhtā nahīñ ki aziyyat tujhe bhī ho
maiñ chāhtā nahīñ ki tire dil meñ ḳhauf ho
thoḌī sī zindagī se shikāyat tujhe bhī ho
tū mujh ko apnī zaat se yaksar na kar judā
aisā na ho ki ḳhaak se vahshat tujhe bhī ho
behtar hai ḳhāmushī se bichhaḌ jaa.eñ ek din
mumkin hai fāsloñ kī zarūrat tujhe bhī ho
mujh ko bhī koī kaam nahīñ āj-kal 'razā'
mumkin hai in dinoñ koī fursat tujhe bhī ho
tanha safar mein chalne ki aadat tujhe bhi ho
viran maqbaron se aqidat tujhe bhi ho
yaKH-basta shab guzar kabhi tu bhi hijr mein
meri tarah kisi se mawaddat tujhe bhi ho
tujh se bichhaD ke kitna hasin ho gaya hun main
aa samne ki thoDi si hairat tujhe bhi ho
main chahta nahin ki teri aankh nam rahe
main chahta nahin ki aziyyat tujhe bhi ho
main chahta nahin ki tere dil mein KHauf ho
thoDi si zindagi se shikayat tujhe bhi ho
tu mujh ko apni zat se yaksar na kar juda
aisa na ho ki KHak se wahshat tujhe bhi ho
behtar hai KHamushi se bichhaD jaen ek din
mumkin hai faslon ki zarurat tujhe bhi ho
mujh ko bhi koi kaam nahin aaj-kal 'raza'
mumkin hai in dinon koi fursat tujhe bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.