tanhai hai mai-KHwar hai aur pichhla pahar hai
tanhā.ī hai mai-ḳhvār hai aur pichhlā pahar hai
ab dil pe tirī yaad ke shab-ḳhūn kā Dar hai
dīvāroñ pe hariyālī daraḳhtoñ pe amarbel
hijrāñ kā havelī kī har ik shai pe asar hai
Dastī haiñ sar-e-shām makīnoñ ko panāheñ
bastī kī havā.eñ haiñ ki nāgin kā guzar hai
ham ḳhāna-ba-doshoñ kā qabīla to azal se
tārīk rah-e-ishq meñ masrūf-e-safar hai
anjān jazīre pe hameñ pheñk diyā hai
insān na bhagvān na saaya na shajar hai
tanhai hai mai-KHwar hai aur pichhla pahar hai
ab dil pe teri yaad ke shab-KHun ka Dar hai
diwaron pe hariyali daraKHton pe amarbel
hijran ka haweli ki har ek shai pe asar hai
Dasti hain sar-e-sham makinon ko panahen
basti ki hawaen hain ki nagin ka guzar hai
hum KHana-ba-doshon ka qabila to azal se
tarik rah-e-ishq mein masruf-e-safar hai
anjaan jazire pe hamein phenk diya hai
insan na bhagwan na saya na shajar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.