tanhai jahan zikr-e-ruKH-e-yar kare hai
tanhā.ī jahāñ zikr-e-ruḳh-e-yār kare hai
har ġham ko charāġh-e-sar-e-dīvār kare hai
vo pursish-e-ġham ho ki tirā lutf-o-karam ho
dīvāna to har baat se inkār kare hai
muddat huī ham shahr-e-tamannā se chale aa.e
kyoñ ham se sabā zikr-e-ruḳh-e-yār kare hai
be-rabt sī nazroñ meñ vo andāz-e-ta'alluq
har marhala-e-zīst ko dushvār kare hai
zanjīr na pahnī ki garebāñ na kiyā chaak
yuuñ bhī koī rusvā sar-e-bāzār kare hai
tanhai jahan zikr-e-ruKH-e-yar kare hai
har gham ko charagh-e-sar-e-diwar kare hai
wo pursish-e-gham ho ki tera lutf-o-karam ho
diwana to har baat se inkar kare hai
muddat hui hum shahr-e-tamanna se chale aae
kyon hum se saba zikr-e-ruKH-e-yar kare hai
be-rabt si nazron mein wo andaz-e-ta'alluq
har marhala-e-zist ko dushwar kare hai
zanjir na pahni ki gareban na kiya chaak
yun bhi koi ruswa sar-e-bazar kare hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.