tanhai ka bojh uThae phirti hun
tanhā.ī kā bojh uThā.e phirtī huuñ
āñkhoñ kī qindīl jalā.e phirtī huuñ
kaun hai jo dukh-dard kisī kā baañT sake
apne dil ke saath lagā.e phirtī huuñ
ishq meñ tere harjā.ī ik muddat se
dīvānoñ sā haal banā.e phirtī huuñ
tum ne to kar ghar apnā ābād liyā
maiñ to ghar kī aas lagā.e phirtī huuñ
tum sūraj the chhoḌ ga.e añdhiyāre meñ
maiñ sar par le raat ke saa.e phirtī huuñ
tere baad 'shagufta' maiñ sab logoñ ke
galī galī meñ ta.ane khaa.e phirtī huuñ
tanhai ka bojh uThae phirti hun
aankhon ki qindil jalae phirti hun
kaun hai jo dukh-dard kisi ka banT sake
apne dil ke sath lagae phirti hun
ishq mein tere harjai ek muddat se
diwanon sa haal banae phirti hun
tum ne to kar ghar apna aabaad liya
main to ghar ki aas lagae phirti hun
tum suraj the chhoD gae andhiyare mein
main sar par le raat ke sae phirti hun
tere baad 'shagufta' main sab logon ke
gali gali mein tane khae phirti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.