Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ka bojh uThaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Aqeel Shatir Ansari

tanhai ka bojh uThaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

Aqeel Shatir Ansari

MORE BYAqeel Shatir Ansari

    tanhā.ī bojh uThā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    yaad meñ un ashk bahā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    koī nahīñ hai duniyā meñ jo mere dil baat ko samjhe

    ġhairoñ ko afsāna sunā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    raat khetī ko sūraj tez shuā.eñ khā jaatī haiñ

    ḳhvāboñ maiñ fasal ugā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    kaalī raat meñ shoḳh havā.eñ zulm se baaz aatī nahīñ haiñ

    maiñ rāhoñ meñ sham.a jalā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    māyūsī kaalī āñdhī har dam taak meñ rahtī hai

    ummīdoñ ke diip jalā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    merī sadā.eñ sar Takrā kar aahoñ meñ Dhal Dhal jaatī haiñ

    dīvāroñ ko giit sunā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    sang-e-malāmat dil par mere barsātī hai duniyā 'shātir'

    choT lage aur hañstā jā.ūñ kab tak āḳhir āḳhir kab tak

    tanhai ka bojh uThaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    yaad mein un ki ashk bahaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    koi nahin hai duniya mein jo mere dil ki baat ko samjhe

    ghairon ko afsana sunaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    raat ki kheti ko suraj ki tez shuaen kha jati hain

    KHwabon ki main fasal ugaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    kali raat mein shoKH hawaen zulm se baz aati hi nahin hain

    main rahon mein shama jalaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    mayusi ki kali aandhi har dam tak mein hi rahti hai

    ummidon ke dip jalaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    meri sadaen sar Takra kar aahon mein Dhal Dhal jati hain

    diwaron ko git sunaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    sang-e-malamat dil par mere barsati hai duniya 'shatir'

    choT lage aur hansta jaun kab tak aaKHir aaKHir kab tak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now