tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa
tanhā.ī kā ilaaj ye mahñgā bahut paḌā
uktā ke maiñ ne news kā channel lagāyā thā
bas ye ki vaj.h-e-tark-e-ta.alluq hī kuchh rahe
us ne zarā sī baat pe jhagḌā khaḌā kiyā
bigḌail ho chale the ka.ī din se mere ḳhvāb
sach kī chhaḌī se shaam unheñ sīdhā kar diyā
kholā thā raat maazī kā ek album ki uf
yādoñ kā mere zehn meñ tāntā bañdhā rahā
vo baar baar pūchh rahā thā vahī savāl
majbūr ho ke jhuuT mujhe bolnā paḌā
dariyā ne mere paañv akhāḌe shurūa meñ
jab maiñ DaTā rahā to vo kamzor paḌ gayā
tanhā.ī kā tumhārī thā mumkin yahī ilaaj
ghar ke har ek kone ko chīzoñ se bhar diyā
tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa
ukta ke main ne news ka channel lagaya tha
bas ye ki wajh-e-tark-e-talluq hi kuchh rahe
us ne zara si baat pe jhagDa khaDa kiya
bigDail ho chale the kai din se mere KHwab
sach ki chhaDi se sham unhen sidha kar diya
khola tha raat mazi ka ek album ki uf
yaadon ka mere zehn mein tanta bandha raha
wo bar bar puchh raha tha wahi sawal
majbur ho ke jhuT mujhe bolna paDa
dariya ne mere panw akhaDe shurua mein
jab main DaTa raha to wo kamzor paD gaya
tanhai ka tumhaari tha mumkin yahi ilaj
ghar ke har ek kone ko chizon se bhar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.