Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai ke aalam mein hoti hai basar apni

Salik Lakhnavi

tanhai ke aalam mein hoti hai basar apni

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    tanhā.ī ke aalam meñ hotī hai basar apnī

    ābād hai barsoñ se vīrānī-e-dar apnī

    kis aag se ThanDī ho sīmābī-e-shauq-e-dil

    kis dar pe ye sar phoḌe betābi-e-sar apnī

    ye donoñ jahāñ DhūñDe ḳhud ko na magar paayā

    kyā jāneñ kahāñ se ab aa.egī ḳhabar apnī

    shāyān-e-junūñ kam haiñ ye donoñ jahāñ mil kar

    vo rāhguzar apnī ye rāhguzar apnī

    jis se chale the ham hir-phir ke vahīñ pahuñche

    ab aur sunā.eñ kyā rūdād-e-safar apnī

    ruḳhsār tābānī zulfoñ ke ghane saa.e

    ye shaam bhī apnī hai vo bhī thī sahar apnī

    jo kuchh bhī nazar aaya vo kitnā ġhalat Thahrā

    pardoñ se Takrā.ī nākām nazar apnī

    har gaam se aage thī tā-hadd-e-nazar manzil

    kis gaam pe dam legī manzil-ba-safar apnī

    nafrat fazāoñ meñ sadiyoñ ke añdheroñ meñ

    ik ishq lamha thī ye umr-e-sharar apnī

    tanhai ke aalam mein hoti hai basar apni

    aabaad hai barson se virani-e-dar apni

    kis aag se ThanDi ho simabi-e-shauq-e-dil

    kis dar pe ye sar phoDe betabi-e-sar apni

    ye donon jahan DhunDe KHud ko na magar paya

    kya jaanen kahan se ab aaegi KHabar apni

    shayan-e-junun kam hain ye donon jahan mil kar

    wo rahguzar apni ye rahguzar apni

    jis ja se chale the hum hir-phir ke wahin pahunche

    ab aur sunaen kya rudad-e-safar apni

    ruKHsar ki tabani zulfon ke ghane sae

    ye sham bhi apni hai wo bhi thi sahar apni

    jo kuchh bhi nazar aaya wo kitna ghalat Thahra

    pardon hi se Takrai nakaam nazar apni

    har gam se aage thi ta-hadd-e-nazar manzil

    kis gam pe dam legi manzil-ba-safar apni

    nafrat ki fazaon mein sadiyon ke andheron mein

    ek ishq ka lamha thi ye umr-e-sharar apni

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now