tanhai ki aaghosh mein tha subh se pahle
tanhā.ī kī āġhosh meñ thā sub.h se pahle
miltī rahī ulfat kī sazā sub.h se pahle
shāyad mire lafzoñ pe taras aa.e use ab
rote hue māñgī hai duā sub.h se pahle
saaya bhī mirā kho gayā tārīki-e-shab meñ
zulmat kā asar aisā rahā sub.h se pahle
jab raat meñ so jaatī hai ye saarī ḳhudā.ī
detā hai mujhe kaun sadā sub.h se pahle
shāyad ki muqaddar meñ na ho kal kā ye sūraj
ho jaa.e har ik qarz adā sub.h se pahle
'shauqī' tujhe mil jā.eñge shaiḳh aur barahman
is shahr ke maiḳhāne meñ aa sub.h se pahle
tanhai ki aaghosh mein tha subh se pahle
milti rahi ulfat ki saza subh se pahle
shayad mere lafzon pe taras aae use ab
rote hue mangi hai dua subh se pahle
saya bhi mera kho gaya tariki-e-shab mein
zulmat ka asar aisa raha subh se pahle
jab raat mein so jati hai ye sari KHudai
deta hai mujhe kaun sada subh se pahle
shayad ki muqaddar mein na ho kal ka ye suraj
ho jae har ek qarz ada subh se pahle
'shauqi' tujhe mil jaenge shaiKH aur barahman
is shahr ke maiKHane mein aa subh se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.