tanhai mein yaad kisi ki jab-jab jot jagae hai
tanhā.ī meñ yaad kisī kī jab-jab jot jagā.e hai
mere man ke añdhiyāre meñ dīvālī man jaa.e hai
zahr-e-hayāt ko hans kar piine vaale kam haiñ duniyā meñ
is manzil se jo guzre vo dīvāna kahlā.e hai
yuuñ to baḌe mūrakh hote haiñ ishq-o-junūñ vaale lekin
kaun use nādān kahe jo jaan ke dhoka khaa.e hai
tanhai mein yaad kisi ki jab-jab jot jagae hai
mere man ke andhiyare mein diwali man jae hai
zahr-e-hayat ko hans kar pine wale kam hain duniya mein
is manzil se jo guzre wo diwana kahlae hai
yun to baDe murakh hote hain ishq-o-junun wale lekin
kaun use nadan kahe jo jaan ke dhoka khae hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.